Is ke bād Isrāīl kī pūrī jamāt Elīm se safr karke Sīn ke registān meṅ pahuṅchī jo Elīm aur Sīnā ke darmiyān hai. Wuh Misr se nikalne ke bād dūsre mahīne ke 15weṅ din pahuṅche.
Unhoṅ ne kahā, “Kāsh Rab hameṅ Misr meṅ hī mār ḍāltā! Wahāṅ ham kam az kam jī bhar kar gosht aur roṭī to khā sakte the. Āp hameṅ sirf is lie registān meṅ le āe haiṅ ki ham sab bhūke mar jāeṅ.”
Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Maiṅ āsmān se tumhāre lie roṭī barsāūṅgā. Har roz log bāhar jā kar usī din kī zarūrat ke mutābiq khānā jamā kareṅ. Is se maiṅ unheṅ āzmā kar dekhūṅgā ki āyā wuh merī sunte haiṅ ki nahīṅ.
Har roz wuh sirf utnā khānā jamā kareṅ jitnā ki ek din ke lie kāfī ho. Lekin chhaṭe din jab wuh khānā taiyār kareṅge to wuh agle din ke lie bhī kāfī hogā.”
Aur kal subah tum Rab kā jalāl dekhoge. Us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ, kyoṅki asal meṅ tum hamāre ḳhilāf nahīṅ balki Rab ke ḳhilāf buṛbuṛā rahe ho.
Phir bhī Rab tum ko shām ke waqt gosht aur subah ke waqt wāfir roṭī degā, kyoṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ. Tumhārī shikāyateṅ hamāre ḳhilāf nahīṅ balki Rab ke ḳhilāf haiṅ.”
Jab Isrāīliyoṅ ne use dekhā to ek dūsre se pūchhne lage, “Man hū?” Yānī “Yih kyā hai?” Kyoṅki wuh nahīṅ jānte the ki yih kyā chīz hai. Mūsā ne un ko samjhāyā, “Yih wuh roṭī hai jo Rab ne tumheṅ khāne ke lie dī hai.
Lekin jab use nāpā gayā to har ek ādmī ke lie kāfī thā. Jis ne zyādā jamā kiyā thā us ke pās kuchh na bachā. Lekin jis ne kam jamā kiyā thā us ke pās bhī kāfī thā.
Lekin logoṅ ne Mūsā kī bāt na mānī balki bāz ne khānā bachā liyā. Lekin aglī subah mālūm huā ki bache hue khāne meṅ kīṛe paṛ gae haiṅ aur us se bahut badbū ā rahī hai. Yih sun kar Mūsā un se nārāz huā.
Chhaṭe din jab log yih ḳhurāk jamā karte to wuh miqdār meṅ dugnī hotī thī yānī har fard ke lie chār liṭar. Jab jamāt ke buzurgoṅ ne Mūsā ke pās ā kar use ittalā dī
to us ne un se kahā, “Rab kā farmān hai ki kal ārām kā din hai, muqaddas Sabat kā din jo Allāh kī tāzīm meṅ manānā hai. Āj tum jo tanūr meṅ pakānā chāhte ho pakā lo aur jo ubālnā chāhte ho ubāl lo. Jo bach jāe use kal ke lie mahfūz rakho.”
Dekho, Rab ne tumhāre lie muqarrar kiyā hai ki Sabat kā din ārām kā din hai. Is lie wuh tumheṅ jume ko do din ke lie ḳhurāk detā hai. Hafte ko sab ko apne ḳhaimoṅ meṅ rahnā hai. Koī bhī apne ghar se bāhar na nikle.”
Mūsā ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Do liṭar man ek martabān meṅ rakh kar use āne wālī nasloṅ ke lie mahfūz rakhnā. Phir wuh dekh sakeṅge ki maiṅ tumheṅ kyā khānā khilātā rahā jab tumheṅ Misr se nikāl lāyā.’”