Lāzim hai ki Bazliyel, Uhliyāb aur bāqī kārīgar jin ko Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur samajh dī hai sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq banāeṅ jo Rab ne dī haiṅ.”
Mūsā ne Bazliyel aur Uhliyāb ko bulāyā. Sāth hī us ne har us kārīgar ko bhī bulāyā jise Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur mahārat dī thī aur jo ḳhushī se ānā aur yih kām karnā chāhtā thā.
Jo kārīgar mahārat rakhte the unhoṅ ne ḳhaime ko banāyā. Unhoṅ ne bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī dhāge se das parde banāe. Pardoṅ par kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banāyā gayā.
Ek dūsre ke ūpar ke donoṅ ḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie Bazliyel ne do aur ġhilāf banāe. Bakrī ke bāloṅ ke ḳhaime par rakhne ke lie us ne menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ joṛ dīṅ aur us ke ūpar rakhne ke lie taḳhas kī khāleṅ milāīṅ.
In do taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā thā tāki ek se shimālī dīwār maġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwār ke sāth. In ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie gae.
Phir Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāne ke lie the ki un se taḳhte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ.
Ab Bazliyel ne ek aur pardā banāyā. Us ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl huā. Us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banāyā gayā.
Bazliyel ne ḳhaime ke darwāze ke lie bhī pardā banāyā. Wuh bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā.
Is parde ko laṭkāne ke lie us ne sone kī hukeṅ aur kīkar kī lakaṛī ke pāṅch satūn banāe. Satūnoṅ ke ūpar ke siroṅ aur paṭṭiyoṅ par sonā chaṛhāyā gayā jabki un ke pāe pītal ke the.