Farishtoṅ ke par yoṅ ūpar kī taraf phaile hue the ki wuh ḍhakne ko panāh dete the. Un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue the, aur wuh ḍhakne kī taraf deḳhte the.
Phir Bazliyel ne ḳhālis sone kā shamādān banāyā. Us kā pāyā aur ḍanḍī ghaṛ kar banāe gae. Us kī pyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī thīṅ pāe aur ḍanḍī ke sāth ek hī ṭukṛā thīṅ.
Bazliyel ne shamādān ke lie ḳhālis sone ke sāt charāġh banāe. Us ne battī katarne kī qainchiyāṅ aur jalte koele ke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālis sone se banāe.
Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāh banāī jo baḳhūr jalāne ke lie thī. Wuh ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hī chauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī thī. Us ke chār konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the jo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe se banāe gae the.
Sone ke do kaṛe banā kar us ne unheṅ is jhālar ke nīche ek dūsre ke muqābil pahluoṅ par lagāyā. In kaṛoṅ meṅ qurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ ḍālī gaīṅ.