Phir Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki wuh mere lie īd manāeṅ.’”
Hārūn aur Mūsā ne kahā, “Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā ham par zāhir huā hai. Is lie mehrbānī karke hameṅ ijāzat deṅ ki registān meṅ tīn din kā safr karke Rab apne Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ pesh kareṅ. Kahīṅ wuh hameṅ kisī bīmārī yā talwār se na māre.”
Jo Isrāīlī nigarān unhoṅ ne muqarrar kie the unheṅ wuh pīṭte aur kahte rahe, “Tum ne kal aur āj utnī īṅṭeṅ kyoṅ nahīṅ banwāīṅ jitnī pahle banwāte the?”
Unhoṅ ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Rab ḳhud āp kī adālat kare. Kyoṅki āp ke sabab se Firaun aur us ke mulāzimoṅ ko ham se ghin ātī hai. Āp ne unheṅ hameṅ mār dene kā mauqā de diyā hai.”
Jab se maiṅ ne Firaun ke pās jā kar use terī marzī batāī hai wuh Isrāīlī qaum se burā sulūk kar rahā hai. Aur tū ne ab tak unheṅ bachāne kā koī qadam nahīṅ uṭhāyā.”