to bhī Firaun tumhārī nahīṅ sunegā. Tab Misriyoṅ par merā hāth bhārī ho jāegā, aur maiṅ un ko saḳht sazā de kar apnī qaum Isrāīl ko ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Misr se nikāl lāūṅgā.
Jab wuh wahāṅ pahuṅche to us se kahnā, ‘Rab Ibrāniyoṅ ke Ḳhudā ne mujhe āp ko yih batāne ke lie bhejā hai ki merī qaum ko merī ibādat karne ke lie registān meṅ jāne de. Lekin āp ne abhī tak us kī nahīṅ sunī.
Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn ko batā denā ki wuh apnī lāṭhī le kar apnā hāth un tamām jaghoṅ kī taraf baṛhāe jahāṅ pānī jamā hotā hai. Tab Misr kī tamām nadiyoṅ, nahroṅ, johaṛoṅ aur tālāboṅ kā pānī ḳhūn meṅ badal jāegā. Pūre mulk meṅ ḳhūn hī ḳhūn hogā, yahāṅ tak ki lakaṛī aur patthar ke bartanoṅ kā pānī bhī ḳhūn meṅ badal jāegā.”
Chunāṅche Mūsā aur Hārūn ne Firaun aur us ke ohdedāroṅ ke sāmne apnī lāṭhī uṭhā kar Dariyā-e-Nīl ke pānī par mārī. Is par dariyā kā sārā pānī ḳhūn meṅ badal gayā.