Agar imām-e-āzam gunāh kare aur natīje meṅ pūrī qaum qusūrwār ṭhahre to phir wuh Rab ko ek beaib jawān bail le kar gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kare.
Phir wuh ḳhaime ke andar kī us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par ḳhūn lagāe jis par baḳhūr jalāyā jātā hai. Bāqī ḳhūn wuh bāhar ḳhaime ke darwāze par kī us qurbāngāh ke pāe par unḍele jis par jānwar jalāe jāte haiṅ.
Yih bilkul usī tarah kiyā jāe jis tarah us bail ke sāth kiyā gayā jo salāmatī kī qurbānī ke lie pesh kiyā jātā hai. Imām yih sab kuchh us qurbāngāh par jalā de jis par jānwar jalāe jāte haiṅ.
Agar Isrāīl kī pūrī jamāt ne ġhairirādī taur par gunāh karke Rab ke kisī hukm se tajāwuz kiyā hai aur jamāt ko mālūm nahīṅ thā to bhī wuh qusūrwār hai.
Phir wuh ḳhaime ke andar kī us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par ḳhūn lagāe jis par baḳhūr jalāyā jātā hai. Bāqī ḳhūn wuh bāhar ḳhaime ke darwāze kī us qurbāngāh ke pāe par unḍele jis par jānwar jalāe jāte haiṅ.
Āḳhir meṅ wuh bail ko ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar us tarah jalā de jis tarah use apne lie bail ko jalā denā hotā hai. Yih jamāt kā gunāh dūr karne kī qurbānī hai.
Imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis par jānwar jalāe jāte haiṅ. Bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.
Phir wuh us kī sārī charbī qurbāngāh par us tarah jalā de jis tarah wuh salāmatī kī qurbāniyoṅ kī charbī jalā detā hai. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī hāsil ho jāegī.
Imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis par jānwar jalāe jāte haiṅ. Bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.
Phir wuh us kī sārī charbī us tarah nikāle jis tarah wuh salāmatī kī qurbāniyoṅ kī charbī nikāltā hai. Is ke bād wuh use qurbāngāh par jalā de. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī hāsil ho jāegī.
Imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis par jānwar jalāe jāte haiṅ. Bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.
Phir wuh us kī tamām charbī us tarah nikāle jis tarah salāmatī kī qurbānī ke lie zabah kie gae jawān menḍhe kī charbī nikālī jātī hai. Is ke bād imām charbī ko qurbāngāh par un qurbāniyoṅ samet jalā de jo Rab ke lie jalāī jātī haiṅ. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī mil jāegī.