Rab farmātā hai, “Moāb ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne Adom ke bādshāh kī haḍḍiyoṅ ko jalā kar rākh kar diyā hai.
Chunāṅche maiṅ Mulk-e-Moāb par āg nāzil karūṅga, aur Qariyot ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. Jang kā shor-sharābā machegā, faujiyoṅ ke nāre buland ho jāeṅge, narsingā phūṅkā jāegā. Tab Moāb halāk ho jāegā.
Rab farmātā hai, “Yahūdāh ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne Rab kī sharīat ko radd karke us ke ahkām par amal nahīṅ kiyā. Un ke jhūṭe dewatā unheṅ ġhalat rāh par le gae haiṅ, wuh dewatā jin kī pairawī un ke bāpdādā bhī karte rahe.
Rab farmātā hai, “Isrāīl ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki wuh sharīf logoṅ ko paise ke lie bechte aur zarūratmandoṅ ko faroḳht karte haiṅ tāki ek joṛī jūtā mil jāe.
Wuh ġharīboṅ ke sar ko zamīn par kuchal dete, musībatzadoṅ ko insāf milne se rokte haiṅ. Bāp aur beṭā donoṅ ek hī kasbī ke pās jā kar mere nām kī behurmatī karte haiṅ.
Jab kabhī kisī qurbāngāh ke pās pūjā karne jāte haiṅ to aise kapṛoṅ par ārām karte haiṅ jo qarzdāroṅ ne zamānat ke taur par die the. Jab kabhī apne dewatā ke mandir meṅ jāte to aise paisoṅ se mai ḳharīd kar pīte haiṅ jo jurmānā ke taur par zarūratmandoṅ se mil gae the.
Yih kaisī bāt hai? Maiṅ hī ne Amoriyoṅ ko un ke āge āge nest kar diyā thā, hālāṅki wuh deodār ke daraḳhtoṅ jaise lambe aur balūt ke daraḳhtoṅ jaise tāqatwar the. Maiṅ hī ne Amoriyoṅ ko jaṛoṅ aur phal samet miṭā diyā thā.
Is se pahle maiṅ hī tumheṅ Misr se nikāl lāyā, maiṅ hī ne chālīs sāl tak registān meṅ tumhārī rāhnumāī karte karte tumheṅ Amoriyoṅ ke mulk tak pahuṅchāyā tāki us par qabzā karo.