Ai Nīnwā, sab kuchh muntashir karne wālā tujh par hamlā karne ā rahā hai, chunāṅche qile kī pahrādārī kar! Rāste par dhyān de, kamarbastā ho jā, jahāṅ tak mumkin hai difā kī taiyāriyāṅ kar!
Nīnwā baṛī der se achchhe-ḳhāse tālāb kī mānind thā, lekin ab log us se bhāg rahe haiṅ. Logoṅ ko kahā jātā hai, “Ruk jāo, ruko to sahī!” Lekin koī nahīṅ ruktā. Sab sar par pāṅw rakh kar shahr se bhāg rahe haiṅ, aur koī nahīṅ muṛtā.
Lūṭne wāle kuchh nahīṅ chhoṛte. Jald hī shahr ḳhālī aur wīrān-o-sunsān ho jātā hai. Har dil hauslā hār jātā, har ghuṭnā kāṅp uṭhtā, har kamr thartharāne lagtī aur har chehre kā rang māṅd paṛ jātā hai.
Us waqt sher apne bachchoṅ ke lie bahut kuchh phāṛ letā aur apnī sherniyoṅ ke lie bhī galā ghūṅṭ kar mār ḍāltā thā. Us kī māndeṅ aur chhupne kī jagheṅ phāṛe hue shikār se bharī rahtī thīṅ.