Shamādān pāe se le kar ūpar kī kaliyoṅ tak sone ke ek ghaṛe hue ṭukṛe kā banā huā thā. Mūsā ne use us namūne ke ain mutābiq banwāyā jo Rab ne use dikhāyā thā.
Is ke lie gunāh se pāk karne wālā pānī un par chhiṛak kar unheṅ hukm denā ki apne jism ke pūre bāl munḍwāo aur apne kapṛe dho'o. Yoṅ wuh pāk-sāf ho jāeṅge.
Phir wuh ek jawān bail chuneṅ aur sāth kī ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā leṅ. Tū ḳhud bhī ek jawān bail chun. Wuh gunāh kī qurbānī ke lie hogā.
Phir Hārūn Lāwiyoṅ ko Rab ke sāmne pesh kare. Unheṅ Isrāīliyoṅ kī taraf se hilāī huī qurbānī kī haisiyat se pesh kiyā jāe tāki wuh Rab kī ḳhidmat kar sakeṅ.
Phir Lāwī apne hāth donoṅ bailoṅ ke saroṅ par rakheṅ. Ek bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhāo tāki Lāwiyoṅ kā kaffārā diyā jāe.
Is ke bād hī wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ ā kar ḳhidmat kareṅ, kyoṅki ab wuh ḳhidmat karne ke lāyq haiṅ. Unheṅ pāk-sāf karke hilāī huī qurbānī ke taur par pesh karne kā sabab yih hai
Kyoṅki Isrāīl meṅ har pahlauṭhā merā hai, ḳhāh wuh insān kā ho yā haiwān kā. Us din jab maiṅ ne Misriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko mār diyā maiṅ ne Isrāīl ke pahlauṭhoṅ ko apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.
unheṅ Hārūn aur us ke beṭoṅ ko diyā hai. Wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ Isrāīliyoṅ kī ḳhidmat kareṅ aur un ke lie kaffārā kā intazām qāym rakheṅ tāki jab Isrāīlī maqdis ke qarīb āeṅ to un ko wabā se mārā na jāe.”
Lāwiyoṅ ne apne āp ko gunāhoṅ se pāk-sāf karke apne kapṛoṅ ko dhoyā. Phir Hārūn ne unheṅ Rab ke sāmne hilāī huī qurbānī ke taur par pesh kiyā aur un kā kaffārā diyā tāki wuh pāk ho jāeṅ.
Is ke bād Lāwī mulāqāt ke ḳhaime meṅ āe tāki Hārūn aur us ke beṭoṅ ke taht ḳhidmat kareṅ. Yoṅ sab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
Is ke bād wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ apne bhāiyoṅ kī madad kar sakte haiṅ, lekin ḳhud ḳhidmat nahīṅ kar sakte. Tujhe Lāwiyoṅ ko in hidāyāt ke mutābiq un kī apnī apnī zimmedāriyāṅ denī haiṅ.”