Kyoṅki pahle āp in meṅ phaṅse hue is duniyā ke taur-tarīqoṅ ke mutābiq zindagī guzārte the. Āp hawā kī kuwwatoṅ ke sardār ke tābe the, us rūh ke jo is waqt un meṅ sargarm-e-amal hai jo Allāh ke nāfarmān haiṅ.
Pahle to ham bhī sab un meṅ zindagī guzārte the. Ham bhī apnī purānī fitrat kī shahwateṅ, marzī aur soch pūrī karne kī koshish karte rahe. Dūsroṅ kī tarah ham par bhī fitrī taur par Allāh kā ġhazab nāzil honā thā.
Hāṅ, ham usī kī maḳhlūq haiṅ jinheṅ us ne Masīh meṅ nek kām karne ke lie ḳhalaq kiyā hai. Aur yih kām us ne pahle se hamāre lie taiyār kar rakhe haiṅ, kyoṅki wuh chāhtā hai ki ham unheṅ saranjām dete hue zindagī guzāreṅ.
Us waqt āp Masīh ke baġhair hī chalte the. Āp Isrāīl qaum ke shahrī na ban sake aur jo wāde Allāh ne ahdoṅ ke zariye apnī qaum se kie the wuh āp ke lie nahīṅ the. Is duniyā meṅ āp kī koī ummīd nahīṅ thī, āp Allāh ke baġhair hī zindagī guzārte the.
Kyoṅki Masīh hamārī sulah hai aur usī ne Yahūdiyoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ ko milā kar ek qaum banā diyā hai. Apne jism ko qurbān karke us ne wuh dīwār girā dī jis ne unheṅ alag karke ek dūsre ke dushman banā rakhā thā.
Us ne sharīat ko us ke ahkām aur zawābit samet mansūḳh kar diyā tāki donoṅ gurohoṅ ko milā kar ek nayā insān ḳhalaq kare, aisā insān jo us meṅ ek ho aur sulah-salāmatī ke sāth zindagī guzāre.